Saturday, February 03, 2007

EK SHAADI KI DAASTAAN:

Just after Marriage
Abhi shadi ka pehla hi saal tha
Khushi ke maare mera bura haal tha
Khushiyan kuch yun umad rahi thi
Ke sambhale nahin sambhal rahi thi
Subah subah madam ka chai Le kar aana
Thoda sharmate hue hame neend se jagana
Who pyar bhara haath hamare baalon mein phirana
Muskurate hue kehna ke darling chai pee loo
Jaldi se ready ho jao, office ko bhi hai jana
Ghar wali bhagwan ka roop Le kar aayi thi
Dil aur dimagh per poori tarah chaayi thi
Saans bhi lete the toh naam isi ka hota tha
Ek pal bhi door jeena dushwar hota tha

5 years later
Subah subah madam ka chai Le kar aana
Table per rakh ke zor se chillaana
Aaj office jaate hue munne ko school chodte jaana
Ek baar phir wohi awaaz aayi
'kya baat hai nahin chodi abhi tak chaarpaayi'
Agar munna late ho gaya toh dekh Lena
Munne ki teachers ko phir khud hee sambhal Lena
Najaane ghar wali kaisa roop Le kar aayi thi
Dil aur dimagh par kaali ghata jaise chaayi thi
Saans bhi lete hain toh unhi ka khayaal hota hai
Har samay zehan mey ek hee sawaal hota hai
Kya kabhi who din lout aayenge
Kya kabhi hum ek bar phir kunware ban paayenge?

No comments: